Na poochho pyaar ki
hamne jo haqeeqat dekhi
Wafaa ke naam pe
bikte huyi ulfat dekhi
Kisi ne loot liyaa aur
hamen khabar na huyi
Khuli jo aankh to barbaad
muhabbat dekhi
Sab kuchh lutaa ke hosh
mein aaye to kya kiya
Sab kuchh lutaa ke hosh
mein aaye to kya kiya
Din mein agar charaagh
jalaaye to kya kiya
Sab kuchh lutaa ke hosh
mein aaye to kya kiya
Main wo kali hoon jo na
bahaaron mein khil saki
Main wo kali hoon jo na
bahaaron mein khil saki
Wo dil hoon jisko pyaar
ki manzil na mil saki
Manzil na mil saki
Patthar pe hamne phool
chadhaaye to kya kiya
Din mein agar charaagh
jalaaye to kya kiya
Sab kuchh lutaa ke hosh
mein aaye to kya kiya
Jo mil na sakaa pyaar
gham ki shaam to mile
Jo mil na sakaa pyaar
gham ki shaam to mile
Ik bewafaa se pyaar
kaa anjaam to mile
Ae maut jald aa
Ae maut jald aa zara
aaraam to mile
Do din khushi ke dekh
na paaye to kya kiya.
Hemant Kumar, Lata Mangeshkar
Asha Bhosle
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), S.Balbir
Mohammed Rafi
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar