Hame to mar diya are kisne bhai
Hame to mar diya milke duniya walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya milke duniya walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya
Aaj hindusata ke sab shayar
Badnasibo ki bat karte hai
Ya likhenge ya garibo ki bat karte hai
Ya hasino ki julf me uljhe
Ya rakibo ki bat karte
Ha nojawano ka gum likhe na koi
Hampe kya hai sitam likhe na koi
Hampe kya hai sitam likhe na koi
Hame to mara hai kisne bhai
Hame to mara hai lecture sunane walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya milke dunia walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya
Ghar ki halat to hu bahu suniye
Bap bete ki guft gu suniye
Ha kal akha tha maine ye dady se
Lao paise hamari arz hai ye
Tumhe pala tumhare daddy ne
Hame palo tumhara farz hai ye
Tum mahine me tees dete ho
Nakdi do ddin hi pas rahti hai
O athayis din mahine me
Jeb meri udas rahti hai
Yar dete hai mujhko dawat roz
Mai abhi ek din unhe bulata hu
Ha jau hotel me basdah bankar
Or kangal banke aata hu
Aye mere bap tujhe apne hi bete ki kasam
Phir mujhe apne khazane ka sahara de de
Tees ne not meri jan dobara dede
Ha mere bap
Daddy bole mre aziz ho tum
Ek number ke badtamiz ho tum
Ek number ke badtamiz ho tum
Sunai galiya are kisne bhai
Sunai galiya kya kya sunane walo ne
Hame to mara hai lecture sunane walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya milke dunia walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya
Apne teacher bhi kya kamal ke hai
Kya batau azab khyal ke hai
Apne teacher kabhi na khush honge
Hamne to azma ke dekh liya
Unka para kabhi utarta anhi
Hamne maska lagake dekh liya
Tight patlun se unke jidd hai
Hero cut bal kat khate hai
Ha chup raho to wo kahte hai gungi
Kuch bole to dant khate hai
Jitni insult wo karte hai
Utni insult to khuda ne bhi
Kabhi saitan ki na ki hogi
Baat karne par bhi hai pabandi
Aah bharne par bhi hai pabandi
Aji jine ka jikar ka kijiye
Yaha marne par bhi hai pabandi
Hame khabro ke soch tha ke mar jayenge
Marke bhi mil gaye to
Teacher to akha jayenge
Marke bhi mil gaye to
Teacher to akha jayenge
Dimag chata hai
Dimag chata hai inke safed balo ne
Hame to mar diya are kisne bhai
Hame to mar diya milke dunia walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya milke dunia walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame to mar diya.
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mahendra Kapoor
Usha Mangeshkar
Mahendra Kapoor
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor