Koi phul na khilta ye kali bhi na hoti
Zindagi bhi na hoti agar tu na hoti
Koi phul na khilta ye kali bhi na hoti
Zindagi bhi na hoti agar tu na hoti
Na hota ujala aur ye rat bhi na hoti
Koi baat hi na hoti agar tu na hoti
Koi phul na khilta
Koi zameen na hoti aur aasma na hota
Koi zameen na hoti aur aasma na hota
Koi haseen na hota koi jawa na hota
Na tare muskurate ye nazare bikhar jate
Koi khushi na hoti agar tu na hoti
Koi phul na khilta
Bulbul ke mast nagme koyal ki shokh tane
Bulbul ke mast nagme koyal ki shokh tane
Ye badlo ke saye panchi ki ye udane
Ye fiza na hoti ye hawa na hoti
Ye ghata na hoti agar tu na hoti
Koi phul na khilta
Na koi pyar hota na intzar hota
Na koi pyar hota na intzar hota
Na koi dil machalta na bekarar hota
Puche jo koi hamse ye sab hai tere damse
Koi bhi shay na hoti agar tu na hoti
Koi phul na khilta ye kali bhi na hoti
Zindagi bhi na hoti agar tu na hoti
Zindagi bhi na hoti agar tu na hoti.
Asha Bhosle
Kishore Kumar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar