Man ki bat jab hotho pe aane ko ho
Aur ji koi geet gane ko ho
Kya ho man aise me jo kah de
Abhi nahi abhi nahi fir kabhi
Man ki bat jab hotho pe aane ko ho
Aisa sayam bhi sath jo
Sapno ke bhi paw rok de
Aaye koi pathik do naino ke
Dware hi tok de
Lal sa jo kuch
Lal sa jo kuch khone pane ko ho
Tinke chun chun ke ghar banane ko ho
Kya ho man aise me jo kah de
Abhi nahi abhi nahi fir kabhi
Man ki bat jab hotho pe aane ko ho
Bandhano se pare
Andekhe bandhan prem preet ke
Jinpe bandhke haridya
Kabhi parshan karega har jeet ke
Jab koi khushi
Jab koi khushi paas aane ko ho
Koi apna sab kuch lutane ko ho
Kya ho man aise me jo kah de
Abhi nahi abhi nahi fir kabhi
Man ki bat jab hotho pe aane ko ho.
Hemlata (Lata Bhatt)
Ravindra Jain
Hemlata (Lata Bhatt), K. J. Yesudas (Kattassery Joseph Yesudas)