Mat puchh ke kiske aashiq hai
Mat puchh ke kiske aashiq hai
Chup rehana hamara kaafi hai
Chup rehana hamara kaafi hai
Ek pardanshi ka pardanshi pardanshi
Ek pardanshi ka raaz hai ham
Bas itna ishaara kaafi hai
Bas itna ishaara kaafi hai
Mat puchh ke kiske aashiq hai
Kaun hai wo pardanshi nazni mehzabi
Yaha pardanshi to lakho hai
Yaha pardanshi to lakho hai
Kaliyo mein khushboo pardanshi
Aankho mein hai aansu pardanshi
Main pardanshi tu pardanshi
Main pardanshi tu pardanshi
Har ek guftgu pardanshi
Har ek guftgu pardanshi
Har dil mein mohabbat pardanshi
Har dil mein mohabbat pardanshi
Dilbar ki inayat pardanshi
Dilbar ki inayat pardanshi
Pardanshi pardanshi
Kaun hai wo pardanshi nazni mehzabi
Yaha pardanshi to lakho hai
Phir kaise ishaara kafi hai
Phir kaise ishaara kafi hai
Gar raaz khule to baat bane baat bane
Gar raaz khule to baat bane
Yeh kehana hamara kaafi hai
Chup rehana hamara kaafi hai
Mat puchh ke kiske aashiq hai
Koi aur kahe is se pehale
Tum dil ki haqiqat khud keh do
Koi aur kahe is se pehale
Tum dil ki haqiqat khud keh do
Jise karte ho sajde chhup chhup kar
Hai kaun si surat khud keh do
Hai kaun si surat khud keh do
Hai kaun si surat khud keh do
Is betaabi ke aalam mein
Is betaabi ke aalam mein
Jo waqt guzara kaafi hai
Jo waqt guzara kaafi hai
Gar raaz khule to baat bane
Aahe aansu dard jigar ka
Ishq mein hai saugaate
Tode takhti fade kagaz
Phenk de kalam dawati
Ek kalab mehboob ki rakhe
Din ho chahe rate
Ishq na yaar ka mazhab puchhe
Na hi puchhe jaati
Ishq gar raaz hai to use
Parde mein hi rehana chahiye
Kisi ka raaz hai muh se
Yeh bhi to nahi kehana chahiye
Kabhi ishq chhupaye chhupta hai
Chehare se haya ho jaate hai
Kabhi ishq chhupaye chhupta hai
Chehare se haya ho jaate hai
Suli bhi ishq mansoor ishq
Suli bhi ishq mansoor ishq
Musa bhi ishq kohetur ishq
Musa bhi ishq kohetur ishq
Har husn ki aankh ka noor ishq
Har husn ki aankh ka noor ishq
Hai masti mein matmoor ishq
Hai masti mein matmoor ishq
Nazdik nahi hai door ishq
Nazdik nahi hai door ishq
Aur ishq mein chkna choor ishq
Aur ishq mein chkna choor ishq
Puchho jo hqiqat ishq ki to
Hai maula ko manzoor ishq
Hai maula ko manzoor ishq
Hai maula ko manzoor ishq
Kabhi ishq chhupaye chhupta hai
Chehare se haya ho jaata hai
Hotho pe magar ho khamoshi
Nazro se baya ho jaata hai
Nazro se baya ho jaata hai
Nazro se baya ho jaata hai
Is raaz ko raaz hi rehane do
Is raaz ko raaz hi rehane do
Puchho na dobaara kaafi hai
Puchho na dobaara kaafi hai
Gar raaz khule to baat bane
Hai ishq na paas tu aur bada
Tu husn ka loha man bhi ja
Hai ishq na paas tu aur bada
Tu husn ka loha man bhi ja
Is husn ka rutba bade kare
Is husn ka rutba bade kare
Jo ishq pe sajda kare kare
Jo ishq pe sajda kare kare
Saaki bhi husn maikhan bhi husn
Saaki bhi husn maikhan bhi husn
Har phool husn gulzar husn
Har phool husn gulzar husn
Mumtaz nahi tumtaar husn
Mumtaz nahi tumtaar husn
Khuddar bhi hai dildar husn
Khuddar bhi hai dildar husn
Nahi husn to duniya mein kuchh bhi nahi
Hai khas khuda ka yaar husn
Hai khas khuda ka yaar husn
Hai khas khuda ka yaar husn
Hai ishq na paas tu aur bada
Tu husn ka loha man bhi ja
Hai dono ka mazhab ek wafa
Aa uth kar mujhko gale se laga
Aa uth kar mujhko gale se laga
Tu mera khuda mian tera khuda.
Kishore Kumar
Hemlata (Lata Bhatt), Mohammed Rafi
Mahendra Kapoor
Hemlata (Lata Bhatt)
Mahendra Kapoor