Taalaab mein yoon kankar phenko
Kitne hi toofan uthaade
Ik chalti phirti laash mein phir
Jeene ke armaan jagaade
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Ab na saahil mile to koi gum nahin
Haath mein haath le yoon hi chalte rahen
Ab na manzil mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Pyar ka ek pal itna anmol hai
Pyar bin saare jeevan ka kya mol hai
Pyar ka ek pal itna anmol hai
Pyar bin saare jeevan ka kya mol hai
Saari duniya mein jis pal ka charcha rahe
Saari duniya mein jis pal ka charcha rahe
Aisa ik pal mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Ab na saahil mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Jee rahe the isi aas pe hi sanam
Ek na ek din mil hi jaayenge hum
Jee rahe the isi aas pe hi sanam
Ek na ek din mil hi jaayenge hum
Mil gaye to mili ek nayee zindagi
Mil gaye to mili ek nayee zindagi
Maut ab kal mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Ab na saahil mile to koi gum nahin
Mil gayeen aaj do lehren kuch is tarah
Mil gayeen mil gayeen
Mil gayeen mil gayeen
Mil gayeen mil gayeen.
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Kishore Kumar
Asha Bhosle, Kishore Kumar