Nigahon mein mohabbat ka
Jawa paigam le aaye
Bhari mehfil mein nazro ka
Nashila jaam le aaye
Chanchal adaye
Machalti huyi aandhiya
Katil yeh bahe
Chamakti huyi bijliya
Zulfen udau to
Ghatao ke bhi rang ude
Palke uthau to
Sitare sare tut pade
Yeh aanchal gulabi mera
Yeh sama sarabi sarabi hua
Chha gaya nasha
Nigahon mein mohabbat ka
Jawa paigam le aaye
Bhari mehfil mein nazro ka
Nashila jaam le aaye
Behti hawao se
Chhalki hai wo mastiya
Chhane lagi dono
Aalam pe madhoshiya
Phir yeh bahar yeh
Khumar yeh karar kaha
Chalti hai aisi bhi
Hawaye bar bar kaha
Ho main chali machalke
Yu haule haule
Jhumte yeh sare deewane bole
Aa gaya maza
Nigahon mein mohabbat ka
Jawa paigam le aaye
Bhari mehfil mein nazro ka
Nashila jaam le aaye.
Krishna Kalle
Suman Kalyanpur
Suman Kalyanpur
Mohammed Rafi