Pyaas kuchh aur bhi
Bhadka di jhalak dikhla ke
Tujhko parda rukh e
Raushan se hatana hoga
Itni gustaakh na ho
Ishq ki awaara nazar
Husn ka paak nigaahon
Ko sikhana hoga
Tujhko parda rukh e
Raushan se hatana hoga
Husn ka paak nigaahon
Ko sikhana hoga
Chaand taaron ko
Mayassar hai nazaara tera
Meri betaab nigaahon se
Ye parda kyun hai
Chaand aaina mera taare
Mera naqsh e qadam
Gair ko aankh milaane
Ki tamanna kyun hai
Tujhko parda rukh e
Raushan se hataana hoga
Husn ka paak nigaahon
Ko sikhana hoga
Tujhko dekha tujhe
Chaha tujhe pooja main ne
Bas yehi is ke siwaa
Meri khata kya hogi
Main ne achha kiya ghabra
Ke jo munh pher liya
Is se kam dil ke tadapne
Ki saza kya hogi
Tujhko parda rukh e
Raushan se hatana hoga
Husn ka paak nigaahon
Ko sikhaana hoga
Pyaas kuchh aur bhi
Bhadka di jhalak dikhla ke
Tujhko parda rukh e
Raushan se hataana hoga
Itni gustaakh na ho
Ishq ki awaara nazar
Husn ka paak nigaahon
Ko sikhana hoga.
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Talat Mahmood
Mohammed Rafi