Mohabbt banaye mohabbat mitaye
Mohabbt kisi din khuda ban na jaye
Mohabat karam bhi mohabbat sitam bhi
Mohabbat se majbur tum bhi ho hum bhi
Thi ek sahjadi badi khubsurat
Jami par utar aayi thi hur jannat
Jawa jism mein so tarah ke najare
Hasi mast aankho mein pighale sitare
Thi ek sahjzaadi
Wo lamba sa kad wo lachakti si bahe
Gunahgar karti thi nichi nigahe
Larajte jo the lab gulabi gulabi
Patak dete the jam kitne sarabi
Najar mein takaje labo par bahane
Chali ho kisi ka mukaddar jagane
Thi ek sahjzaadi
Achanak fakir ek nasibo ka mara
Najar aa gaya jaise badal me tara
Nigahe mili aarzu mushkuradi
Mohabbat ne soi tamanna jaga di
Thi ek sahjzaadi
Itna hase aakhir unke rona pada
Dekho sitam milkar juda hona pada
Itna hase aakhir unke rona pada
Dekho sitam milkar juda hona pada
Khwabo ki jannat lut gayi
Rashte mein ulfat lut gayi
Wo chandani rate gayi
Rangin mulakate gayi
Dusman jamana ho gaya
Dil ka suku khona pada
Itna hase aakhir unke rona pada
Dekho sitam milkar juda hona pada
Mohabbat ki duniya lut jane ke bad
Wo dilruba shame haya jalne lagi
Fariyaad mein katil hasi dhalne lagi
Aankho se jadu ud gaya
Najro ka nastar ud gaya
Gesu paresha ho gaye
Marne ke sama ho gaye
Gesu paresha ho gaye
Marne ke sama ho gaye
Sine mein har dum aah ki
Talwar si chalne lagi
Wo dilruba shame haya jalne lagi
Fariyaad mein katil hasi dhalne lagi
Aur bechara sayar
Wo majbur kismat se baji lagaye
Lahu se chirage tamanna jalaye
Mukalif hawao se takra raha tha
Andhere mein badhna chala ja raha tha
Mohabbat ne jakhmi labo se dua di
Liya jisne dil ja usi par gawa di
Ghata khul gayi aasuo ki baras kar
Use a gaya baras do din taras kar
Thi ek sahjzaadi.
Asha Bhosle
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Talat Mahmood
Talat Mahmood
Mohammed Rafi