Suno kahani ek ladke ki
Jo tha bada kyaa shararati
Suno kahani ek ladke ki
Jo tha bada kyaa shararati
Chhup jaata thaa idhar udhar
Dekho seitaan phir se chhup gaya
Chhup jaata thaa idhar udhar
Aata bahi thaa kahin nazar
Jab mummy use pukarti
Suno kahani ek ladke ki
Jo tha bada achha shararati
Suno kahani..
Ek raat ko kyaa huaa ye suno
Log sabhi chain se so gaye the
Apne apne gharo mein wo aaram se
Mithe mithe khawab mein sab kho gaye the
Itane mein bahar huaa shor
Galiyo mein kutte lage bhokane
Jaage sab aawaz sunke
Bache lage neend se chok ne
Are baap re..
Chillana raha tha koi aao
Mujhko bachao
Is sher ke panche se koi
Mujhko chhudao
Fauran sab hathiyaar lekar
Bhale ayr talvaar lekar
Daudkar pahuche wahan
Sher to thaa lekin kahan
Seitaan ladka has raha thaa
Kyaa buddhu banaya
Hain kahani khatam yahan
Jooth bol rahi ho bataona aage kya hua
Oho achha baba suno
Suno kahani ek ladke ki
Jo tha bada shararati
Suno kahani..
Ye shararat ek din usko badi
Mahengi padi
Kyaa khabar thi aayegi
Ik din aisi ghadi
Ikl din raat ko rahon mein
Jab gehara andhera chha gaya
Ghar ke liye wo chala to
Sher sachmuch aagaya
Sher ko dekh kar bachao bachao
Wo chillaya
Magar is baar koi gaavwala
Uski madad ko nahi aaya
Majboor hokar jor se wo rone laga
Kitana dara wo behosha sa hone lagavo
Dil ke rahem tab sher ke aaya
Usne ladke ko samjaya
Ho bade seitaan tum par
Aaj pakdo kaan tum
Ladke ko tab aayi sharam
Usne kaan pakad kar kahan
Main kabhi shararat nahi karunga
Didi mein bhi kabhi shararat nahi karunga
Ye kahani is ladke ki
Jo tha bada shararati
Sudhar gaya wo kuch is kadar
Jaata tha jahan jidhar
Jab mummy use pukarti
Jab mummy use pukarti.
Asha Bhosle, Bhupinder Singh
Asha Bhosle
Annette Pinto
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Asha Bhosle