Dekh rahi hain meri aankhein
Jeevan ki kaisi tasveer
Kaisa bandhan kaisa krandan
Ghoonjh rahi kaisi yeh peer
Jeene waalo kab todoge
Zulm ki yeh zanjeer
Tod ke bandhan sare
Jeevan jyot jagaa aa
Tod ke bandhan sare
Jeevan jyot jagaa aa
Tod ke bandhan saare
Navyug karvat badal raha hain
Navyug karvat badal raha hain
Aankhein khol zara
Tod ke bandhan sare
Jeevan jyot jagaa aa
Tod ke bandhan sare
Jeevan jyot jagaa aa
Jhalak rahi poorab se laali
Ab jaane wala hai andhera
Jhalak rahi poorab se laali
Ab jaane wala hai andhera
Door kshtij ke paar kahin se
Door kshtij ke paar kahin se
Tujhe pukaare naya savera
Andhkaar ka cheer ke saya
Sooraj naya ugaa
Tod ke bandhan sare
Jeevan jyot jagaa aa
Tod ke bandhan sare
In bahon mein shakti hain itni
Kadmon mein aakash jukade
In bahon mein shakti hain itni
Kadmon mein aakash jukade
Karm yog ke yog se yogi
Karm yog ke yog se yogi
Tu dharti ko swarg bana de
Apne ko pehchaan murakh
Apne ko pehchaan murakh
Ab hosh mein aa
Tod ke bandhan sare
Jeevan jyot jagaa aa
Tod ke bandhan sare
Navyug karvat badal raha hain
Navyug karvat badal raha hain
Aankhein khol zara
Tod ke bandhan sare
Jeevan jyot jagaa aa
Tod ke bandhan sare
Jyot jagaa aa jyot jagaa aa
Jyot jagaa aa jyot jagaa aa.
Bhushan Mehta, Jolly Mukherjee
Kishore Kumar
Kishore Kumar
Amit Kumar, Anjaan
Amit Kumar
Leena Chandavarkar