Zindagi zindagi zindagi zinda dili ka naam hai
Zindagi zinda dili ka naam hai
Jina hai to hans ke jee le tu
Pyar mein gham ke jahar bhi pee le tu
Jina hai to hans ke jee le tu
Pyar mein gham ke jahar bhi pee le tu
Zindagi zinda dili ka naam hai, zindagi
Naram hotho ke surkh paimane
Pee le pee le tu aa tu diwane
Naram hotho ke surkh paimane
Pee le pee le tu aa tu diwane
Mastiyo mein dub ja re bekhudi ka le maja le
Zindagi zinda dili ka naam hai, zindagi
Char din ke hai gham ke ye badal
Waqt badlega aaj nahi to kal
Char din ke hai gham ke ye badal
Waqt badlega aaj nahi to kal
Husn ki baho mein aaja pyar ki raho me aaja
Zindagi zinda dili ka naam hai
Zindagi zinda dili ka naam hai
Jina hai to hans ke jee le tu
Pyar mein gham ke jahar bhi pee le tu
Jina hai to hans ke jee le tu
Pyar mein gham ke jahar bhi pee le tu
Zindagi zinda dili ka naam hai
Zindagi zinda dili ka naam hai, zindagi.
Hemlata (Lata Bhatt)
Krishna Bose, Manhar Udhas