Achchha toh hum chalate hain
Phir kab miloge, jab tum kahoge
Jumme raat ko, haan haan aadhi raat ko
Kahaan, wahi jahaan koyi aata jaata nahi
Wahi jahaan koyi aata jaata nahi
Achchha toh hum chalate hain………
Kisi ne dekha to nahi tumhein aate
Nahi main aayi hu chhupke chhupaake
Der kar di badi, zara dekho toh ghadi
Uf o meri toh ghadi band hai,
Teri ye ada mujhe pasand hai
Dekho baate waatein karlo jaldi jaldi
Phir na kahana abhi aayi abhi chal di
Toh aao paas baithe pal do pal, aaj nahi kal
Yeh toh ik bahaana hai,
Waapas ghar bhi jaana hai
Kitni jaldi yeh din dhalate hain haay taata…
Achchha toh ham chalte hain
Phir kab miloge, jab tum kahoge
Kal milo ya paraso, paraso nahi, naraso
Kahaan, yahi yahaan koyi aata jaata nahi
Achchha toh hum chalte hain..
Uda hai kis liye tera rang gori
Hamaari pakdi gayi hai bas chori
Achchha, raam jaane kya ho abb,
Kaise huwa yeh gajab
Mera aanchal jo jara dhal gaya
Saari duniya ko pata chal gaya
Kaise khelenge abb aankh micholi
Leja aake mere ghar se meri doli
Tere gharwaale na kar de inkaar
Sab hain taiyaar
Sab hain taiyaar,
Sun le phir dil ki fariyaad
Bas baaki shaadi ke baad,
Piya dekho, diye jalate hain
Achchha achchha toh hum chalte hain…
Mohammed Rafi
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Asha Bhosle
Kishore Kumar