Barbaade muhabbat ko
Kab tak ye saja doge
Na samne aaoge
Na apna pata doge
Barbaade muhabbat ko
Ye raat ye khamoshi
Ye chand ye tanhai
Aise mein suni maine
Bajti hui shahnai
Mano to hakikat hai
Na mano to afsana
Mano to hakikat hai
Na mano to afsana
Jago to jara zalim
Dekho main chali aayi
Jago to jara zalim
Dekho main chali aayi
Kya meri wafao ke badle
Mein wafa doge
Na samne aaoge
Na apna pata doge
Barbaade muhabbat ko
Kab tak ye saja doge
Na samne aaoge
Na apna pata doge
Barbaade muhabbat ko
Kuchh darde mohabbat ki
Tumko bhi khabar hogi
Chanda ki chakori par
Kab tak na najar hogi
Najro se meri chup kar
Najro se meri chup kar
Jana bada mushkil hai
Jaoge to is shab ki
Mushkil se sahar hogi
Jaoge to is shab ki
Mushkil se sahar hogi
Aakhir mujhe pahlu mein
Kab tak na jagah doge
Na samne aaoge
Na apna pata doge
Barbaade muhabbat ko.
Lata Mangeshkar
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Lata Mangeshkar, Talat Mahmood