Dushman hai sabki jaan ki
Aur sab ki jaan hain
Kahte hai jisko roti badi baiman hain
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Tufan kaise kaise uthati hain rotiya
Katil se pehle kattle karati hain rotiya
Aakhir mein usko fansi chadhati hain rotiya
Do gaj zami se uncha uthati hain rotiya
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Duniya ki har burayi mein roti ka hath hain
Besharmi behayai mein roti ka hath hain
Mazlum ki duhayi mein roti ka hath hain
Muslish ki jag hansayi mein roti ka hath hain
Insaniyat ko nanga banati hain rotiya
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Roti se chalte hain duniya ke kamkaz
Roti se hain barkarar saho ke takhattaz
Roti hi yaro karti hain sare jaha pe raz
Roti se hai ye husn ke bazar ye samaj
Kothe pe nariyo ko nachati hain rotiya
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Roti ke sab deewane hain kya pir kya jawa
Roti hai aisa tir ke jiski nahin kama
Roti lagaye zakham to milta nahin nisha
Chhoti si roti rutbe mein saitan ki hain ma
Iman ko bhi chhalni banati hain rotiya
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Roti hi lene aaya tha changejkha yaha
Daraihlaku iske liye ghume dra badar
Hitlar bhi ne na payi jab ye roti pet bhar
Khandhar bana ke
Chhod gaya gujra wo jidhar
Kuch is tarha se aag lagati hain rotiya
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Jannat se is roti ne aadam ki nikala
Do zkhme isi ke dam se hain ujala
Nagin ye dase jisko uska nahinn sambhala
Pani bhi nahin mang sake mangne wala
Hum khate hai ya humko hikahti hain rotiya
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Achhe bhale insan ko ye roti bech de
Do kodi mein imna ko ye roti bech de
Allah ke farman ko ye roti bech de
Aa jaye to bhagwan ko ye roti bech de
Har cheez ka bazar lgati hain rotiya
Kya kya tmashe dekho dikhati hain rotiya
Rotiya rotiya .
Pandit Vinod Kumar
Anuradha Paudwal
Hemlata (Lata Bhatt)