Inteha ho gayi intezaar ki
Aayi na kuchh khabar mere yaar ki
Yeh hamein hai yakeen
Bewafaa woh nahin
Phir wajah kya hui intezaar ki
Inteha ho gayi intezaar ki
Aayi na kuchh khabar mere yaar ki
Yeh hamein hai yakeen bewafaa
Woh nahin phir wajah kya hui intezaar ki
Baat jo hai uss mein baat
Woh yahaan kahin nahin kissi mein
Woh hai meri bas hai
Meri shor hai yahi gali gali mein
Saath saath hai woh mere gham mein
Meri har khushi mein
Zindagi mein woh nahin toh
Kuchh nahin hai meri zindagi mein
Bujh na jaaye yeh shama aitbaar ki
Inteha ho gayi intezaar ki
Aayi na kuchh khabar mere yaar ki
Yeh hamein hai yakeen
Bewafaa woh nahin
Phir wajah kya hui intezaar ki
Ho oooo mere sajana lo main aa gayi
Ho oooo mere sajana lo main aa gayi
Logon ne toh diye honge
Bade bade nazaraane
Layi hoon main tere liye dil mera
Dil yahi maange dua
Hum kabhi ho na judaa
Mera hai mera hi rahe dil tera
Yeh meri zindagi hai teri
Yeh meri zindagi hai teri
Tu mera sapana
Main tujhe paa gayi
O mere sajana lo main aa gayi
Gham ke andhere dhale
Bujh gaye sitaaren chale
Dekha tujhe toh dilon mein jaan aayi
Honton pe taraane saje
Armaan deewane jage
Baahon mein aake
Tu aise sharmaayi
Chaa gayi phir wohi bekhudi
Chaa gayi phir wohi bekhudi
La la la la lala lala
Woh ghadi kho gayi intezaar ki
Aa gayi rutt haseen hasl-e-yaar ki
Yeh nasha yeh khushi
Ab na kam ho kabhi
Umra bhar na dhale raat pyaar ki
Raat pyaar ki
Raat pyaar ki.
Kishore Kumar
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Amitabh Bachchan, Kishore Kumar
Kishore Kumar
Kishore Kumar