Maa tu aansoo ponchhle apne
Rone ki koi baat nahin
Maa tu aansoo ponchhle apne
Rone ki koi baat nahin
Jab tak tere saath hoon main
Mat soch ke koyee saath nahin
Aur zaraa sa paal de mujhko
Phir main tujhko paaloonga
Aur zaraa sa paal de mujhko
Phir main tujhko paaloonga
Jo maangegi so laaunga
Koi baat na taaloonga
Jo teri jholi mein na daaloon
Aisi koi saugaat nahin
Maa tu aansoo ponchhle apne
Rone ki koi baat nahin
Jab tak tere saath hoon main
Mat soch ke koyee saath nahin
Din bhar mehnat karke jab main
Shaam ko waapas aaoonga
Din bhar mehnat karke jab main
Shaam ko waapas aaoonga
Apne paas bithaakar tujhko
Pyaar ke saath khilaaunga
Tu aisa mat soch ke tere
Sar pe koyi haath nahin
Maa tu aansoo ponchhle apne
Rone ki koi baat nahin
Jab tak tere saath hoon main
Mat soch ke koyee saath nahin
Kuchh din ki to baat hai maa
Ye kuchh din bhi kat jaayenge
Kuchh din ki to baat hain maa
Ye kuchh din bhi kat jaayenge
Aaj jo baadal chhaaye hain
Wo baadal kal chhant jaayenge
Jiski ujlee subah na ho
Aisi koyi kaali raat nahin
Maa tu aansoo ponchhle apne
Rone ki koi baat nahin
Jab tak tere saath hoon main
Mat soch ke koyee saath nahin.
Lata Mangeshkar
Talat Mahmood
Lata Mangeshkar
G. M. Durrani, Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar
Talat Mahmood
Kishore Kumar
Krishna Kalle
Asha Bhosle
Kishore Kumar
Asha Bhosle, Kishore Kumar
Kishore Kumar
Kavita Krishnamurthy, S. P. Balasubrahmanyam, Suresh Wadkar
Anuradha Paudwal
Anuradha Paudwal
S. P. Balasubrahmanyam