Prabhu se vimukh rahe jo prani
Uski baat na maanu
Hari drohi nij param mitr ko
Mitr kabhi na jaanu
Hari drohi nij param mitr ko
Mitr kabhi na jaanu
Prabhu ki sikh sudha sukh kari
Pal pal sakal amangal hari
Hari se vair bhav vish deta
Vish se vish pehchaanu
Hari drohi nij param mitr ko
Mitr kabhi na jaanu
Data yachk ke dwar khada
Tune kaisi lila dikhlaye
Bhagawan daan mein mange rahe
Nij bhakt se jholi failaye
Danav guru shkrachary tabhi
Kar gaye pravesh kamndal mein
Sankalp laga kane bali jab
Jal gira na unki anjali mein
Vaamn ne tabhi shalaka se
Ek netra shukra ka phod diya
Ghabhra ke shukrachary ne tab
Jal ke us patr ko chhod diya
Jal girte hi bali ne apna
Sankalp daan ka purn kiya
Antryami avinashi hari
Vaaman ne roop virat kiya
Pehale pag se prithvi maapi
Aakash dusre se maapa
Rakhne ko tisra pag prabhu ne
Bali se kuchh sthan aur maaga
Danvendra bali ne vaaman se
Kaha jhuka kar apna shish
Ab to kisi apavan tan ko
Pavan kriye hey jag dish
Bolo vaaman bhagwan ki jai
Devo ke hit jo virat hari
Vaaman roop dhare
Wahi prabhu dukh ke
Sagar se sabko paar kare
Vishnu puran sune jo koi
Wo bhaw sindhu tare
Keshv kripa sindhu karunamay
Jai jagdish hare hare
Gaao re gun gaao hari ke
Jo dukh dur kare hare
Gaao re gun gaao hari ke
Jo dukh dur kare hare
Gaao re gun gaao hari ke
Jo dukh dur kare hare
Jai jagdish hare hare
Jai jagdish hare hare.
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Mohammed Rafi
Asha Bhosle, Mohammed Rafi