Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Mere ram, mere ram
Tera naam ek saacha dooja na koi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Jeevan aani jaani chhaaya
Jeevan aani jaani chhaaya
Jhoothi maya jhoothi kaya
Phir kahe ko saari umariya
Phir kahe ko saari umariya
Paapki gathri dhoi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Mere ram, mere ram
Tera naam ek saacha dooja na koi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Na kuchh tera na kuchh mera
Na kuchh tera na kuchh mera
Ye jag jogi vaala phera
Raja ho ya runk sabhi ka
Raja ho ya runk sabhi ka
Ant eksa hoi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Mere ram, mere ram
Tera naam ek saacha dooja na koi
Baahar ki tu maati phaanke
Baahar ki tu maati phaanke
Man ke bheetar kyun na jhaanke
Ujle tan par maan kiya
Ujle tan par maan kiya
Aur man ki mail na dhoi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi
Mere ram, mere ram
Tera naam ek saacha dooja na koi
Sukh ke sab saathi dukh mein na koi.
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
Lata Mangeshkar
Mahendra Kapoor
Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor