Suraj se jo kiran ka naata
Saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta
Tu jaane ya naa jaane
Phul mein jaise basati
Hai khushbu tu hai
Basa mere mann mein
Pyaar hai tera jivan mera
Tu maane ya na maane
Suraj se jo kiran ka naata
Pehali baar tujhe dekha toh
Hum aise sudh budh bhule
Pehali baar tujhe dekha toh
Hum aise sudh budh bhule
Ho jaise saawan ki pehali
Purwaayi dharati ko chume
Dharati se jo nil gagan ka
Saawan se purwaayi ka
Suraj se jo kiran ka naata
Saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta
tu jaane ya naa jaane
Suraj se jo kiran ka naata
Do din ki dekha dekhi mein
Yug yug ke manmeet mile
Do din ki dekha dekhi mein
Yug yug ke manmeet mile
Tum bole do bol ke mujhako
Janam janam ke geet mile
Taar se do jhankaar ka
Naata geeton se jo sargam ka
Suraj se jo kiran ka naata
Saagar se jo leharon ka
Wohi hai tera mera rishta
Tu jaane ya naa jaane
Suraj se jo kiran ka naata
Hmm hmm mm mm mm.
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Asha Bhosle
Asha Bhosle, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Alka Yagnik, Udit Narayan
Sadhana Sargam, Shaan
Kumar Sanu
Babul Supriyo
Abhijeet Bhattacharya, Alka Yagnik, Sonu Nigam