Parwar digar e aalam
Tera hi hai sahara
Tere siwaa jahaan mein
Koyi nahin hamara
Parwar digar e aalam
Tera hi hai sahara
Tere siwaa jahaan mein
Koyi nahin hamara
Parwar digaar e aalam
Nooh ka safinaa toone
Toofaan se bachaya
Duniya mein tu hamesha
Bandon ke kaam aayaa
Maangi khaleel ne jab
Tujhse duaa khudaya
Aatish ko toone fauran
Ek gulsitaan banaya
Hat iltejaa ne teri
Rahmat ko hai ubhara
Parwar digar e aalam
Tera hi hai sahaaraa
Parwar digar e aalam
Younus ko toone machhli
Ke pet se nikaalaa
Toone hi mushkilon mein
Ayub ko sambhala
Ilyaas par karam ka
Toone kiyaa ujaalaa
Hai do jahaan mein ya rab
Tera hi bol baalaa
Toone sadaa ilaahi
Bigdi ko hai sanwara
Parwar digar e aalam
Teraa hi hai sahara
Parwar digar e aalam
Yousuf ko toone maulaa
Di qaid se rihaayi
Yaaqoob ko dubara
Shaql e pisar dikhayi
Bahti huyi nadi mein
Moosaa ki raah banayi
Toone saleeb par bhi
Isaa ki jaan bachaayi
Data tere karam kaa
Koyi nahin kinara
Parwar digar e aalam
Tera hi hai sahara
Tere siwaa jahaan mein
Koyi nahin hamara
Parwar digar e aalam
Parwar digar e aalam
Tera hi hai sahara
Tera hi hai sahara
Tera hi hai sahara
Tera hi hai sahara.
Mister Sheikh
Shamshad Begum
Shamshad Begum
Shamshad Begum
Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur
Asha Bhosle, Mohammed Rafi